Hum Haar Gye Tum Jeet Gye

Hum Apney Aap Pey Bhi Zahir Kabhi Dil Ka Haal Nahii Kartey

Chup Rehtey Hain Dukh Sehtey Hain Koi Ranj O Malal Nahi Kartey


Hum Jo Kuch Han Hum Jaisey Hain Waisey Hii Dikhaii Daitey Hain

Chehrey Pey Bhabhoot Nahii Maltey Kabhi Kaaley Baal Nahi Kartey


Hum Haar Gye Tum Jeet Gye Hum Ney Khoya Tum Ney Paya

In Chotii Chotii Baaton Ka Hum Koii Khyaal Nahi Kartey


Teray Dewaaney Ho Jatey Khien Seharaaon Mein Khoa Jatey

Dewaar O Dar Mein Qaid Humien Agar Ehal O Ayaal Nahii Kartey


Teri Marzii Par Hum Raazi Hain Jo Too Chahey Wo Hum Chaahien

Hum Hijjr Kii Fiker Nahii Kartey Hum Zikar E Visaal Nahii Kartey


Humien Teray Siwa Is Dunya Mein Kisi Aur Sey Kya Laina Daina

Hum Sab Ko Jawaab Nahii Daitey Hum Sab Sey Sawaal Nahii Kartey


Ghazalon Mein Humarii Bolta Hai Wohii Kaanon Mein Ras Gholta Hai

Wohii Band Kavaarey Kholta Hai Hum Koii Kamaal Nahii Kartey

 
Copyright © FARAZ SAD POETRY