dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun

us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun

dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun


dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha

kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun

zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai

ke use hal sunaun to suna bhi na sakun


us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko

neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun


naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade

sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun

bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko

ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun

is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par

apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun

 
Copyright © FARAZ SAD POETRY