Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahi

Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahi

raharau hoga kaheen aur chala jayega

dhal chuki raat bikharne laga taron ka gubar

ladakhadane lage aewanon mein khwabida chirag

so gai rasta tak tak ke har ek rahaguzar

ajanabi khak ne dhundala diye qadmon ke surag

gul karo shamen bada do mai-o-mina-o-ayag

apne bekhwab kiwadon ko muqaffal kar lo

ab yahan koi nahin, koi nahi aayega

 photo 0094.gif
 
Copyright © FARAZ SAD POETRY