Qareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam Phir

Sukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam Phir

Qareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam Phir


Wo Narm Lehje Main Kuch Kehla Raha Hay Phir Mujh Say

Chirra Hay Piyar K Komal, Suron Main Asli Madham Phir


Tujhe Manaon K Apni Anaa Ki Baat Sunoo

Ulajh Raha Hay Mere Feslon Ka Resham Phir


Na Uski Baat Main Smjhun, Na Wo Meri Ye Nazren

Muamilaat E Zabaan Ek Bar Ho Chalay Hen Mub’ham Phir


Wo Aik Lamha K Jab Saaray, Rang Aik Say Hoe

Kisi Bahar Ne Kabhi Dekha Na Aisa Sangam Phir


Buht Azeez Hen Aankhen, Meri Us Ko Lekin

Wo Jatay Jatay Holay Say, Unhen Kar Gaya Hay Purnam Phir


Sukoon Bhi Kharab Hua, Nend Bhi Hay Kam Kam Phir

Qareeb Aane Laga Wo, Dooriyon Ka Mosam Phir

 photo 0003jpg.gif
 
Copyright © FARAZ SAD POETRY