Raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein

hum ne khush hoke bhanvar bandh liye paon mein


un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ke talash

bund tak bo na sake jo kabhi saharaon mein

ae mere ham-safaron tum

bhi thake-hare ho

dhup ke tum to milavat na karo chaon mein

jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj

baat na jaye tera bimar masihaon mein

hausla kis mein hai yusuf ke kharidari ka

ab to mahangai ke charche hai zulaikhaon mein


moderator’s note:

references to yusuf and zulaikha can be

found in various ghazals and nazms yusuf (joseph), son of

yaqub (jacob) was a very handsome man he was sold in

market of egypt where he was bought by zulaikha zulaikha

married him after her husband died

jis barahaman ne kaha hai ke ye saal acha hai

us ko dafnao mere hath ke rekhaon mein


moderator’s note:

the first misra (line) is obviously a reference to ghalib’s

“ik barhamin ne kaha hai ki ye saal acha hai”

wo khuda hai kisi tute hue dil mein hoga

masjidon mein use dhundho na kalisaon mein


hum ko aapas mein muhabbat nahi karne dete

ik yahi aib hai is shahar ke danaon mein


mujh se karte hain “qateel” is liye kuch log hasad

kyon mere sher hain maqabul hasinaon mein


 

 photo 0003jpg.gif
 
Copyright © FARAZ SAD POETRY